Friday, March 2, 2007

poem Kaise Manaye HOLI

hum ko sukun nahi hai Tumko suku nahi hai
Mahagayi badh rahi hai mahgayi badh rahi hai
holi ka jo colour hai vo lal ho chuka hai
samjhauta express me vikral ho chuka hai
hum baith kar gharo me holi rahe manate
vo humko in bamo se jhat se rahe udate
aata hua hai mahanga kaise manaye holi
amitabh bechte hai ab hajma ki goli
vo kahte sar utha ke UP me jurm kam hai
kya unko nithari par bilkul nahi sharam hai
Kutte to khub kha kar Beyiman ho rahe hai
Par badhti mahgai se insan ro rahe hai
aata hua hai mahanga Hira to hua sasta
In P. Chidambaram ki kaisi hai ye vyavastha
Bolo tumhi batao Kaise manaye HOLI
Visfot se udai atankiyon ne kholi
meena tumhari sadi me gift chahiye kya
mai dal bechkar ke hira tumhe na dunga
mai am admi hu humko na tum satao
he vitta mantari ji aise julam na dhao

Atul Kumar Singh
Lecturer
Brahmanand P.G.College
Kanpur

1 comment:

Him@n$hu said...

very nice poem sir.... really heart touching truth of this govt.(Kaise Manaye Holi)...


But sir pls try to manage the fonting problem...type ur rest of poems in english.... taki ham bhi unka maza le sake (Yug Prahari)....